Har pal ek naya rang dikhati ,
har din ek naya ehsaas karati,
hum jis kal ko kisi mod pe chor aaye the
baar baar usi mod pe le jati,
Ye Zindagi.
Ek taraf aasman ki sair karati to doosri taraf zammen pe girati,
kabhi gam ka sagar to kabhi khushi ki leher de jati,
kabhi bachchon si bholi to kabhi lomdi si chalak ho jati,
kabhi geet kabhi gazal to kabhi kavita ban jati,
Ye Zindagi.
Kabhi patto pe padi os ki boond si lagti,
to kabhi baarish ke pani si girti,
kabhi panchiyo ki tarah udti phirti,
to kabhi mitti ka ghar banti,
Ye Zindagi.
Aankhon ki nami ban gaalo ko gila karti,
hothon ki hasi ban chehre pe bikharti,
patjhad me patto ke sath girti,
baharon me phoolon ke sath khilti,
Ye Zindagi.
Jane kaise kaise khel dikhati
Ye Zindagi.
Har din jeene ki nayi vajah de jati
Ye Zindagi.

No comments:
Post a Comment