Kaha gaye vo din jab hum titli dekh ke khush ho jate the
Aur khilone toot jane pe aansun bahate the
Papa ki daat mood off hone ka karan hoti thi
Mummy ki smile chup ke sab kuch keh deti thi
Sabse badi fasad ki jad tv ka remote hota tha
Bhai behen se ladai me pura din nikal jata tha
B'day party me mummy chole bhature banati thi
Aur return gifts kya dene yehi tension satati thi
Doston k sath jake ice cream khana hi outing ban jati thi
Class me eraser kisne churayi vohi narazagi kehlati thi
Phone laptops se to door door tak matlab na hota tha
Copy submission me dimag kharab hota tha
Raat me mummy k bina sone me dar lagta tha
Subah papa ki awaz bina uthne ka man na karta tha
Dadaji ki kahaniya aaj bhi bahut yad aati hai
Bachpan ki un yaadon se aankhein bhar aati hai..
In saalo me zindagi ne kitna kuch sikha diya..
Pata nhi hume kab itna bada bana diya
Aaj phir se ek baar mitti ke ghar banane ka man karta hai
Bina koi fikr kiye baarish me nahane ka man karta hai..
Papa ki ungli pakad kar toffee lane ka man karta hai
Aur mummy se lipat kar so jane ka man karta hai..
Pata nhi kyu aaj phir ek baar bachcha ban jane ka man karta hai...
